Main Tumhara Song Lyrics, Dil Bechara Movie (2020)

Main Tumhara - Hriday Gattani, Jonita Gandhi, Sushant Singh

Singer   Hriday Gattani, Jonita Gandhi
Music   AR Rahman
Song Writer   Amitabh Bhattacharya

Tum na huey mere toh kya
Hmm.. Tum na huey mere toh kya
Main tumhara, main tumhara, main tumhara raha
Mere chanda main tumhara sitaara raha

Rishta raha bas rait ka
Aye samandar main tumhara kinaara raha
Main tumhara, main tumhara, tumhara raha
Tum na huey mere toh kya

Tu hi pehli guzarish, hasrat bhi tu aakhiri
Maahi mere naseeh marzi bata kya teri
Main tumhara, main tumhara, main tumhara raha
Mere chanda main tumhara sitaara raha

Main jaadon ke mahine ki tarah
Aur tum ho Pashmine ki tarah
Main deewaron ki tarah hoon
Tum jaise ho dareecha
Main bageecha jo tumne seencha

Tum na huey mere toh kya
Hmm.. Tum na huey mere toh kya
Main tumhara, main tumhara, main tumhara raha
Mere chanda main tumhara sitaara raha

Rishta raha bas rait ka
Aye samandar main tumhara kinaara raha
Main tumhara, main tumhara, tumhara raha
Tum na huey mere toh kya..

                                   Click Here To Watch👇

Main Tumhara Lyrics Video 


Post a Comment